DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : TIBB, DAY : 500,Hadees No :2201,

 

Hazrat Ibne Abbas (raziyallahuanhu) se rivayat hai,Kaha,
Rasool e Akram (sallallahualihiwasallam) Hazrat Hassan wa Hazrat Hussain(raziyallahuanhuma) ko Nazar se hifazat keliye ye dua padh kar Dum kiya karte :
أعيذ بكلمات الله التامة من كل شيطان وهامة ومن كل عين لامة
(uyizu Bi Kalimatillahit Taamati Min Kulli Shaitanin wa Haammatin wa Min Kulli Aynin Laammatin)
Aur yahi dua se Hazrat Ibrahim(alihissalam) Apne Ladko Hazrat Ismail aur Hazrat Ishaq(Alihimassalam) ko Dum kiya karte.
(Vol/2,Hadees No :2201),
Dars : to Malum huva ke Dua se dum karna Pahle ke Ambiya e kiram ki bhi Sunnat hai,ye Shirk ya Bid’at Nahi hai,jaisa ke Baaz log kahte hai,unko Chahiye ke Hadees ka Sahi Mutala karke Baat ko Qubool karle is se Saari Ummat ko ittehad ka faidah mil jayeha…
●● Dua Allah ke Kalam ke Alfaaz wa Ambiya e kiram ki zubano se Nikle huve Huroof wa Alfaaz ki Barkat ka hi Naam hai,jinse Qiyamat tak insha Allah saari Ummat faidah hasil karti rahegi..
Allah hame Deeni Raunaq se Aarastah rahne ki taufeeq ata farma..Ameen.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like