DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 624,Hadees No :2481,

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Bandeh Allah ki Qudrat se Darta hai,to Wo Bandah Jahannam me Nahi jayega,aur Agar kuch Gunah ho to utni hi der Usko jahanam ka Azab diya jayega,jitni Der me (Bakri ki)Thann se doodh laut aata hai,aur Allah ke Raasteh me udhne wala Ghubar aur Jahannam ka Dhuva ek Jagah Jama Nahi hosakte hain.
(Vol/2,Hadees No :2481),
Dars : Allah ki yaad aur uski Qudrat wa Taqat ko yaad karke jo Bandah Rota hai,to Allah us Bandeh ko Apne Qareeb karleta hai,aur uski yaad me Rone wale Har Aansoo ki hifazat ki jati hai,jis se uski Qabr aur Jahannam ki Aag ko Bhujaya jayega,aur wo Jahannam se mahfooz hojayega aur agar kuch gunah kiye ho to utna hi Azab diya jayega jitni der me Bakri se jab Doodh nikala jaye to jab ek Baar doodh ko uski Thann se kheenche to phir wo doodh ander jata hai,to dobarah doodh kheenchne se phir doodh aajata hai,to jitna thoda waqt Doodh jane aur Aane me lag raha hai,to utne hi mukhtasar waqt me usko Azab diya jayega,kyu Allah ki yaad me Roye jane Wale Aansoo sab ber Bhari hojate hain,
●● Bakri ke Doodh Dohne ki Misal Azab ka Thoda waqt Batane keliye hai,
■■ Jo Bandah Allah ke Raasteh me Mehnat karta hai,aur Ghair Muslimo ke Zulm ko Rokta hai,aur Deen ki Khidmat me Paseenah Bahata hai,aur Uska Badan Ghubar Aalood hojata hai,to Wo Bandah Jahannam se Najat pata hai,lehaza Us Bandeh ka Ghubar aur Jahannam ka Dhuva ek jagah Jama Nahi ho sakte hain.
Allah hame Hamesha Teri Yaad me Rone wala Banaye..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like