DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 625,Hadees No :2482,

 

Hazrat Abu Zarr Ghifari (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenam Wo Cheeze Mai Dekh raha hoon,Jo Tum Nahi Dekh rahe ho,aur Baate Mai Sun Raha hoon,Jo Tum Nahi Sun pa rahe ho,Yaqeenan Saare Asman ko Lapeta gaya hai,aur us per Ek Farishtah Allah keliye Sajdeh me hai,Momino Suno :Jo mai Jaanta hoon,Agar Tum bhi Usko Jaan lete to Be Shak Tum Hanste Kam aur Rote ziyadah,Aur Tum Aurato se bhi Door hojate aur Un hi Kaamo ko Thaam lete Jo Allah se Qareeb karte hain.
(Vol/2,Hadees No :2482),
Dars : Hadees e Paak me wazahat hai,ke Ummati ka Dekhna aur Sun na Aur hota hai,Jabke Nabi e Kareem(Sallallahualihiwasallam) aur Har Nabi ka Dekhna aur Sun na Alag hota hai,Ummati Kabhi bhi kisi bhi etebar se Nabi jaisa Nahi hosakta hai,kyu ke Un per Allah ki khaas Rahmat aur Risalat wa Nunuvvat ka Ta’alluq hota hai,Allah un per Ayse Raaz khol deta hai,jo Kainat me kisi ko pata Nahi hota hai,aur Be Shumar Khusoosiyat Allah Nabiyo ko ata karta hai,
■■ Har Amal ko Naame Aamal me likha ja raha hai,Nek Amal ho ya Bad Amal Bandah uske Anjaam ko Zahen me rakhe aur Allah ke Hakim hone ka Kamil Yaqeen Rakhe to insha Allah Bandah Nek Amal me masroof hojayega aur uska Anjaam bhi Akhirat me Acha hoga,Warna Bura Amal Bura Nateejah,isliye Bandeh ko Zindagi ka Har Lamha Ghaneemat jan kar Allah ki Ibadat me lagana hai.
Allah hame Nek Aamal ki Taufeeq Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like