DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 626,Hadees No :2484,*

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Jo Shaks Be Parvai se Baat karta ho to usko Jahannam me 70 Saal jalaya jayega.
(Vol/2,Hadees No :2484),
Dars : *Jis Bandeh me Kamil Eiman wa Ache Akhlaaq Na ho to Uski Zuban bhi uska Saath Nahi degi,Jiski Wajah se Wo apne Kalam me Be Parvayi aur Sonche Samjhe Baghair Har kisi ko koi Bhi Baat kah deta hai,usko Saamne Wale ke Jazbaat aur Izzat ki Koi Fikr Nahi hoti hai,Bus Jo Wo Chahta hai,Kah deta hai,jiski wajah se Saamne wale ka Dil toot jata hai,ya usko takleef hoti hai,ya ye Shaks Eimani Baato pe Baghair samjhe Baat karke Ya Inkar karke Jahannam ka Mustahaq hojata hai,jabke usko is baat ka dunya me pata Nahi hoga,Marne ke Baad hi Malum hoga..!!!!*
■■ *Baaz Nawjawan Saathiyo me Baith kar Mazaq me kah dete hai,ke :Allah se aaj baat kiya ya Mai aysa Bola to Allah aysa kiya ye Kyu kara..etc (Allah hame is se Mahfooz kare ) bad Akhlaqi wali Baate Kahke Jahannam ke Mustahaq hote hain..!!*
●● *Baaz Nawjawan Har Baat pe Hadees Hadees kahke Ya to Baaz Qurani Ayato ka inkar kardete hain,ya Doosri Hadeeso ko Baghair Tahqeeq ke Mauzoo ya Zayeef kahke inkar kardeta hai,jabke ye inka kaam hi nahi hai,Kyu ke Baaz ka Professional B tech ya M.B.A etc..hota hai,magar wo Saheb Deen ke Ahkamaat ya Hadeeso me Radd wo Badal ya Ghair mahsoos andaz me inkar karte hai,Jabke Tahqeeq ka kaam Ulama e kiram ka hai,bus ye Baaz log khud bhi aur doosro ko bhi fitneh me daal dete hai,jiski wajah se Dayimi Saza ke mustahaq hote hain.*
Allah hame Bad Zubani aur Bad Akhlaqi se Mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz…Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like