*DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 627,Hadees No :2485,*

 

Hazrat Bahz ibne Hakeem (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Barbadi hai,us shaks keliye Jo Jhooti Baate Kah kar Logo ko Hansata ho,Uske liye Barbadi hai,Barbadi hai.
(Vol/2,Hadees No :2485),
Dars : Deen e islam me Muskurana aur Waqti Taur per kuch Hansne ki ijazat hai,Magar Hansne aur Hansane ko apna kaam aur Pesha Bana lena iski ijazat Nahi hai,kyu ke Isaan jitna Hansta hai,utna Wo Apni Fikr aur Nazar se Anjaan hone lagta hai,uski Sonch aur Zahen ki quvvat kam hone lagti hai,Bus Wo Is Dunya me Ghaflat ki zindagi guzarne lagta hai,Jabke Bandeh ka Har Lamha ghaflat me Nahi balke Ibadat,Kaam aur Maqsad ki takmeeli hona chahiye warna Is dunya aur Akhirat dono me Na kaam rahega,
■■ Baat Sanjeedgi ki ho ya Mazaq ki Har Haal me Jhoot Mana hai,Bandah jitna Jhoot kahega utna hi zaleel hoga aur uske ghar se Barkat khatam hojayegi aur Akhirat me Dardnaak anjaam payega..
Allah Hame Jhoot se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like