DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 628,Hadees No :2486,*

 

Hazrat Anas Bin Malik (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha, Daur e Risalat me Ek Sahabi(raziyallahuanhu) ka wisal huva to Ek Shaks ne Kaha Unhe Jannat ki Khushkhabri do to
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Kyu Nahi,Agar Tum Jante ho ke Wo Be Fuzool Baate Na karte the ho aur Jaha Kharch Karne se Maal me Kami Na hoti ho waha wo Bakhalat Na karte the ho to Unhe Khushkhabri do.
(Vol/2,Hadees No :2486),
Dars : Jo Bandah Dunya me Be Fuzool aur Kaam ki Baat Na karta ho to us se t uska Waqt bhi Zaye(waste) hoga aur wo Apne Maqsad aur Kaam me dilchaspi Nahi lesake ga,Bus Uska Mizaj Baato wala hojayega aur wo Kaam se Mahroom rah jayega,to Hame Chahiye ke Be Fuzool Baate karne ke Bajaye Khamoosh hi rah jaye to Ziyadah Behter hai,
●● Be Kaar ki Baate Karne se Insaan ki Shaksiyat Ka Andazah hojata hai,ke Uski Taleemi aur Kalami quvvat kitni hai,Haan,Agar wo Khoosh rah kar Ek do Sanjeedah Alfaz kahe agar zaroorat ho to Saamne wale shaks ke dil me iska Asar wo Ro’ab qayim hojayega aur saamne wala bhi Sonch samajh kar Faidehwali baat kahega warna Wo Agar Sanjeedah ho to Khamoosh hokar door hojayega aur agar wo bhi Isi Mizaj ka ho to Be Buzool Baato me lag jayega,
●● Insaan keliye Maal sirf Ek Zaroorat hai,us se Badh kar kuch Nahi,Agar Maal Bandeh ki Zaroorat per Kaam ajaye to wo Rahmat hai,Agar Zaroorat se ziyadah ho to Zahmat hai,jis se Apasi Ranjishe paida hongi aur Dushmani bhi..lehaza Maal ko Jaha kharch karna hai,waha kharch kare to uski Ahmiyyat dil se khatam hogi aur Sadqeh ki Rahat se dil me Shukr wa Qina’at ki sifat paida hogi,jis se Maal ki hifazat bhi hogi,
To Jo Bandah Sahi Maqam me Maal ko kharch kare aur Be Fuzool bato se Bache to usko Dunya me hi Jannat ki Khushkhabri digayi hai,warna Uska Doosra pahlu jahannam ka Azab hai..!!

Allah Hame Amal ki taufeeq aur Naar e Jahannam se mahfooz kare..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like