DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 629,Hadees No :2487,*

 

Hazrat Abu Hurairah (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Islam ki Khoobiyo me se Ek Khoobi ye hai,ke Badah Bekar Baato aur Kaamo ko Chod de.
(Vol/2,Hadees No :2487),
Dars : Deen e islam Usool wa Qavaneen wala Mustahkam wa Mazboot Mazhab hai,isme Insaani Fitrat ke lehaz se Har Cheez aur Har Kaam ki rahnumayi maujood hai,kisi cheez ki kami Nahi hai,To Bandeh ko Be kar Baato aur Kaamo ko chodne ka Behtreen Noskha Yahi hai,ke Bandah Islami Taleemat ko thaam le to ye La Yaani Baate wa Kaam Aasani se choot jayenge..Insha Allah..
Allah hame Amal ki taufeeq Naseeb kare..Ameen ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like