DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 630,Hadees No :2489,*

 

Hazrat Bilal Bin Haris Muzani (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Yaqeenan Tum me se Koi Aysi Baat kardeta hai,jo Allah ko Raazi karne wali hoti hai,lekin us Bandeh ko Uska ilm Nahi hota hai,Magar Allah us se Qiyamat tak Raazi hojata hai,aur Koi Bandah Aysi Baat kardeta hai,Jo Allah ko Na Raaz karti hai,lekin usko is Baat ka pata bhi nahi hota hai,Magar Allah us se Qiyamat tak Na raaz hojata hai.
(Vol/2,Hadees No :2489),
Dars : Insaan hi Ek Aysi Makhlooq hai,jisko Allah ne Aqal ke Saath ilm wa irfan ki salahiyyat se Nawaza hai,Bus Ko Bandah Apni Aqal ko Sahi istemal karega to Wo Baat bhi Bohat Sambhal kar karega aur Apni Zuban ki taqat se Khaliq aur Makhlooq dono ko Raazi karlega aur usi se Wo Razamandi Hasil karsakta hai,aur Agar Apni Aqal ko Sahi istemal Na kare to Wo Apni Zuban ki Na ittefaqi aur Be Hoodgi wa Be Paidari se Sabko Na Raaz karega aur Raab wa Bandeh sab us se Na raaz hojayenge aur Qiyamat tak usi Na Raazgi me zindagi hogi…!!!
■■ Bandah Sanjeedah Baat karne ki Adat daale kyu ke Sonch Samajh kar Baat karne ki Adat ayse hi Nahi aati hai,Balke Bandeh ko ilm hasil karne me apna Waqt lagana hoga,phir Allah ke zikr me Apne khusoosi awqaat mutayyan karna hoga to tab khamooshi ke saath Hikmat bhi Naseeb hogi,insha Allah,
●● Haan,Agar kisi Baat ka ilm Na ho to sonch kar Baat karne ke Bajaye us Baat ka ilm Na hone k khabar dekar khamoosh rahne me hi Bahalai hai.
Allah hame Teri Raza Naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like