DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 631,Hadees No :2490,*

 

Hazrat Sahal Bin Sa’ad (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Agar Allah ke Paas Dunya ki Ahmiyyat Makkhi ke Par ke Barabar bhi hoti to Allah Kafiro ko Ek Qatrah Paani (A Drop of Water) bhi Na deta.
(Vol/2,Hadees No :2490),
Dars : Allah ke Paas Dunya ki Koi Waq’at aur Ahmiyyat Nahi hai,Agar kuch bhi hoti to Kafiro ko Dunya me Ek Qatrah Paani bhi Na milta kyu ke Kuffar Har Lamha Allah ki Na farmani me hote hai,aur Musalman Allah ki Farma Bardari me hota hai,to dekha jaye to Dunya ki Har Nemat Apne Bando ko de lekin Aysa Nahi hai,kyu ke Makkhi ke Par ke Barabar bhi Allah ke paas dunya ki koi Qadr wa Manzilat Nahi hai,to Rabb ki yahi Chahta hai,ke Bandah Dunya se door hokar Akhirat ki tayyari me laga rahe ye Dunya ki Nemate,Maal,Bangla?Gadi,etc..sab kuch dino Baad khatam hi hojayenge Lekin Akhirat hi Dayimi zindagi hai,
●● Aaj Har Jagah Kafiro ko hi Sahoolate Reservations,Jobs,etc..me ziyadah hain,aur Unke Paas Dunyavi Maal wo Dawlat,Bade Ghar etc..hai to ye Dekh kar Dil me Na Shikri Na aane de Balke Yahi dil me khayal kare ke Ye Dunya kafiro keliye hai,Aur Musalmano keliye Haqeeqi wa Dayimi Zindagi Akhirat hi hai,aur Waha Musalman ko Har Nemat insha Allah milne wali hai,Jaisa Amal vysa Phal..
■■ Iska Matlab ye Nahi hai,ke Musalman ilmi aur Salahiyati Maidan(Educationally aur Technically) se door rahe Balke ilm aur Fann ka seekhna islami Taleemat me se hai,to Padhte aur seekhte huve dunya ko Akhirat ka sirf sabab samajhte huve zindagi guzarna hai,to insha Allah kamiyabi Naseeb hogi.
Allah hame Akhirat ki tayyari karne wala banaye..Ameen Ya Rabbi.
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like