DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 632,Hadees No :2491,*

 

Hazrat Mustavrid Bin Shaddad (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,Mai bhi un sawaro me tha jo Nabi e Kareem Sallallahualihiwasallam ke saath the,to jab hum Murdah Janwar ko dekhe jo zameen per pada huva tha,to dekh kar
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Ye Janwar ki Maut ki wajah se uske Malik ne usko phenk diya hai,kyu ke Ab uski uske paas koi Qeemat Nahi hai,sab ne kaha :Haan,koi Qeemat Nahi to aapne farmaya :Isi tarah Allah ke Paas Dunya ki us se bhi ziyadah koi Qeemat Nahi hai.
(Vol/2,Hadees No :2491),
Dars :to Malum huva Allah ke Paas dunya ki Nahi Balke Akhirat ki Ahmiyyat hai,to Bandah Dunya me kitne Makanat(Buildings) banaya hai,ya kitne Gadiya,Bikes,ya Plots rakha hai,iske Baare me Nahi poocha jayega Balke kitne Nek Aamal kiya hai ? Kitne Ghareebo ke Madad kiya hai,etc..ye zaroor poocha jayega,
Haan,Banaye huve gharo aur Khareede huve zameeno ka Husab zaroor poochenge ke kise banaya,Maal kaha ka tha etc..
Dosto,Kuch Tameer karna hi ho to Masjido aur Madarso ko tameer karo ya Uski tameer me apne se jo hosake wo Madad karo to Qiyamat tak us Nek Kaam ka sawab milta rahega..insha Allah,
●● is Dunya ke Mukhtasar Maal wo dawlat keliye Ek Doosre se jhagde aur Dushmani karle rahe hai,jabke iski Allah ke Paas koi qadr wa manzilat hi nahi hai,aur sab Chod kar khali haath hi jana hai..!!
Allah hame Dunya se Door aur Alhirat ke Qareeb karde..Maula..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like