DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 634,Hadees No :2494,

 

Hazrat Abu Hurairah(raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya :
Dunya Momin keliye Qaid khana(Jail) hai,aur Kafir keliye Jannat hai.
(Vol/2,Hadees No :2494),
Dars : Ye Dunya aur Uski Nemate Waqt hai,ek din sab khatam hojayengi aur Akhirat ki Zindagi aur Nemate Dayimi,Hamesha Rahne wali hain,to Ye Dunya aur uski Nemate aur Arayishe Kafir keliye hai,wo jitna Chahe yahi uska istemal karle Akhirat me unhe Rusvayi,Zillat aur Azab keliye Alawah kuch Milne wala Nahi hai,wo Dayimi Zaleel wa Dardnaak Azab me honge,aur Musalman keliye Is dunya me Azmayishe wa Museebate honge jis per Use Sabr wa Isteqamat se rahna hoga to usko Akhirat me Hamesha Rahne wali Nemate,Allah ki Raza aur Jannat milegi,
●● Daur e Hazir me Har Mulk me Musalman Rizq aur Huqooq aur Doosre Kayi Moamlaat me Pareshan hai,kyu ke ye Sab Dunya ki Azmayishe hai,hum sabko usko Mkqablah SABR,QINA’AT AUR ISTEQAMAT se karna hoga to insha Allah 2 jahan me kamiyabi aur Kamrani Naseeb hogi..insha Allah.
Allah hame isteqamate Deen naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like