DARSE JAMIUT TIRMIZI,CHAPTER : ZUHUD(AKHIRAT KI TAYYARI), DAY : 635,Hadees No :2495,

 

Hazrat Abu Kabsha Anmari (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : 3 Cheezo ke hone ki qasam kha ke kahta hoon,tum usko Yaad karlo wo ye hai :
☆ Bandeh ka Wo Maal kabhi Khatam Nahi hoga jis me se wo Sadqah diya ho,
☆ Jab Bandeh per Zulm kiya jaye aur wo Us per Sabr kare to Allah uski izzat me aur izafah karta hai,
☆ Jab Bandah Doosro se Maangna Shuru karta hai,to Allah us per Ghurbat aur Tangi paida kardeta hai.
(Vol/2,Hadees No :2495),
Dars : Jitna Maal Bandah Allah ke Raasteh me khuloos ke saath sadqah karta hai,to Allah uske Maal me Dugni Barkat ata karta hai,aur us per Aane wali Museebato ko taal deta hai,aur Sehat se Nawazta hai,aur Umr me Barkat Naseeb hoti hai,etc..Bus Dil me Ghareeb ki madad ki niyyat rakhle to Sadqah ka amal khud shuru hojayega,
●● Zulm :Allah ko Shirk ke Baad sab se Na pasandeedah Amal Zulm hai,isiliye Allah Mazlum ki faryad jald mukammal karta hai,aur usko Mazeed izzat se nawazta hai,Taqat aaj rahti hai,kal Nahi bhi hosakti hai,kyu ke Ghurbat aur Beemari ka koi Waqt Nahi hota hai,kabhi bhi dastak de sakte hai,lehza zulm ko chod kar Raham ko apna le to sab keliye behter hai,
■■ Quran wo Hadees me Ye taleemat ayi hain,ke Dene wala Haath lene wale Haath se ziyadah behter hai,aur Ye bhi aya hi,ke Mehnat karne kamane wala Allah ka Mahboob Bandah hota hai,to Maangne se behter Mehnat karke Kamana aur Maal zaroorat se ziyadah ho to Doosro ko dena hai,tab hi Dene wale honge Na ke lene wale..!!
Allah hame in Kaamo ki taufeeq naseeb kare..Ameen Ya Rabbi..
Plz..Share it to All,for more visit our islamic web site..anwaarulislam,com.

You might also like