*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : TAHARAT, Day ; 29,

 

Hazrat Abu Qatadah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualohiwasallam) ne farmaya : Billy(cat) ka Jhoota Na Paak Nahi hai,kyu ke Wo tum per yani Gharo me aksar aya karti hai.
(Vol/1,H,No :92),

Dars : Dosto ,
Is Hadees se pahle ek Hadees me Kutte(Dog) awr Billy (cat) ke jhoote ke Na paaki ka Aam hukm tha,phir Billy ke khoote ki Paaki ka is Hadees me Khaas Hukm bayan kiya gaya hai, ke..
Billy Ka Jhoota Paak hai ,uski wajah awr illat bhi bata di gayi hai ,ke uska Guzar awr rahna Aksar insaani Moashreh me hota hai,to uske jhoote ko Na Paaki ka Hukm lagane me Saari Ummat ko Haraj hai,lehaza us Haraj ko door karne keliye Uske Jhoote ko Paaki ka hukm lagaya gaya hai
Kyu ke Quran me wazeh aya hai,ke:
Allah ne Deen me Tumhare liye Haraj(takleef,zabardasti,etc..) ko Nahi Rakha hai.
(Al Quran,Vol/6,Surah : Maayidah),
Is se Maloom huva ke Islam ka mizaj Aasani paida karna hai, Na ke Talkeef,sahoolat dena hai,Na ke Sakhti…

plz…Share it to All,For Islamic Service.

You might also like