*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : TAHARAT , Day : 30,

 

Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) jab bhi Ghusl e Janabat ka iradah farmate to sab se pahle Apne Baye haath(left Hand) se Seedhe Haath(Right Hand) per Paani Dal kar usko Dholiya karte,isi tarah Seedhe haath se Baye Haath ko Dholiya karte, phir Jaha Badan ko Dhone ki zaroorat ho waha dholete,phir Wazoo farmate,awr uske Baad Saare Badan per 3 Baar Pani(water) baha dete.
(Vol/1,H,No :104),
Dars : Islami Bahiyo,
Islami Ahkamaat me ” Ghusl ” ki basi Ahmiyat hai,isko jaan na zaroori hai,ke jab Bandah (Mard wa Awrat) Ehtelaam(khaab me Mani nikal jaye) ya HumBisatari se Na paak hojata hai,to us per Ghusl “Wajib” hota hai,uske Baghir Koi Ibadat Ada hi Nahi hoti hai,
Aksar log Ghusl ki Niyyat ke bare me sawal karte hai,ke Shabe qadr,sahbe Bar’at,Jumah ke Ghusl ki kiya Niyyat hai ?
Jawab : Niyyat ka matlab Dil me iradeh ka naam hai,aap apni hi zuban(urdu,english etc..) me sirf ye Ghusl ” Janabat” ya Jumah ke din ka Ghusl bhi kah le to Kaafi hai,Ghusl hojayega,
Iske alawah jo bhi aap logo ko Shak ho sawal karsakte hai.

Plz..Share it to All,For Islamic Service.

You might also like