*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : TAHARAT ,Day :31

 

Hazrat Umme Salamah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,maine :
Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) se Arz ki, YA RASOOLALLAH mere Sar ke baal ziyadah Ghane hai,to kiya Ghusl e Janabat ke waqt in balo(hairs) ko kholna zaroori hai ?
To Aapne Farmaya ; Jab tum un balo me achi tarah se paani Bahalo to tumhe unko kholne ki zaroorat Nahi hai, 3 martabah paani bahana hi Kaafi hai.
(Vol/1,H,No :105),
Dars : Dosto ..
Sahab e kiram(raziyallahuanhum ajmayeen) ke sawalaat sare ummat ke liye Rahmat hai,
Lehaza is hadees pata chala ke Wo Khatoon jinke Sar ke baal(Hairs of Head) ziyadah gahane ho tonusko kholne ki zaroorat Nahi ,balke Balo ki jado tak paani baha len hi kaafi hai.

Plz..Share it to All,Fo islamic service.

You might also like