*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter : TAHARAT, Day : 32,

 

Hazrat Ayisah siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,
Rasool e Akram(sallallahulalihiwasallam) se us aadmi ke bare me sawal kiya gaya jo Raat me maqam e makhsoos per Tari(wetness) dekhe jabke wo koi khaab nahi dekha to uska kiya hukm hai ?
to aapne farmaya : us shaks per Ghusl wajib hota hai.
awr us shaks ke bare me jo Raat me khaab dekha hai,magar uske badan per tari nahi payi gayi to uska kiya hukm hai ?
aapne farmaya : us shaks per Ghusl wajib nahi hai.
to Hazrat umme salamah(raziyallahuanha) ne sawal kiya ya Rasoolallah,
Awrat ka kiya Hukm hai
to aapne farmaya : Awrat to aadmi ke hisseh se hi bani hai
yani us ka bhi yahi Hukm hai .

Dars : yani agar kisi ko AhtelaM hojaye to us per ghusl wajib hota hai.

plz,,share it to all,for islamic service.

You might also like