*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chapter :TAHARAT ,Day : 34,
Hazrat Ayisha Siddiqah(raziyallahuanha) se rivayat hai,kaha,
Raat me Jab Rasool e Akram(sallallahualihiwasallam) ko Ghusl ki Zaroorat hoti to Kabhi aap sirf Wazoo karlete awr Aaram farma kar Subah me Ghusl farmate.
(Vol/1,H,No : 119),
Dars : Qurban hojaye Sarware Do 2 jaha(sallallahialihiwasallam) ki har ada per ke jinki her Ada me ummat keliye Rahmat hoti hai,
To dekhe Raat me Ghusl e janabat ki zaroorat ke Ba wajood aapka Ghusl na farmana ye un logo keliye Rahmat hai,ke
jaha raat Sardi(cold) ziyadah ho,awr Garam paani dastiyab na ho,
Ya paani raat me na ho,subah me aane ka yaqeen ho,etc..aysi soorto me Raat me jab ke Ghusl wajib bhi hojaye to Wazoo bana le awr sojaye phir Subah me Ghusl karle to kaafi hai.
Plz..Share it to All,For islamic Service.