*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chpater :SALAH , Day : 50,

 

Hazrat Abu Barzah(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
RASOOL E AKRAM(sallallahualihiwasallam) Isha ki Namaz se pahle Sone(sleeping) awr Isha ki Namaz ke Baad Be Kaar Guftugu Ko Na Pasand kiya kart.
(Vol/1,H,No :168),

Dars : Is Hadees ka Doosra pahlu ye hai,ke Jo Isha ki Namaz padhle awr Sojaye to Nabi ki Razamandi bhi Naseeb hogi awr Ibadat wali Neend bhi,ab us neend awr rahat ke kiya kahne..
Bohat se log kahte hai ke..hame ayse ayse khaab aare ? ….
Jaldi Neend nahi aati ?
Raat me Be chaini Rahti ?
etc..
To in Tamam masaayil ka Hal “ISHA” ki Namaz hai,
Dosto Maaf karna ye kahne keliye ke….
Kitne Hamare Nawjawaan…!!!!
Aadhi Aadhi raat tak Games awr Mobiles me masroof hai,
Raat me Ghaar se baher hai,Maa Baap pareshan,Neend Se mahroom,Sehat ka Noqsaan?
Jis se fajar ki Namaz ka Chootne ka yaqeen hai..etc..
Haan,agar koi Deeni Baat ya kaam hoto Jaagne ki ijazat hai,

To hame chahiye ke Isha ki Namaz padh kar Jaldi Sone ki koshish kare.

Plz..Share it to All,For islamic Service.

You might also like