*** DARSE JAMIUT TIRMIZY *** Chpater :SALAH , Day : 51

 

Hazrat Umer bin Khattab(raziyallahuanhu) se rivayat hai,kaha,
Isha ki Namaz ke Baad Rasool e Akram(sallallahualihwasallam) Hazrat Abu Bakr(raziyallahuanhu) se Musalmano ke moamleh me baat kiya karte to mai bhi aap ke saath raha karta tha.
(Vol/1,H,No :169),

Dars :is hadees me isha ke baad Deeni ,islahi ,saqafati,tahzeebi,moashrati tarteebi etc…guftugu karne ki ijazat di gayi hai,
isha ke namaz ke baad jaldi sone ka matlab tahajjud awr fajar ki tayari karna hai,is niyyat se so jaye ke TAHAJJUD AUR FAJAR padhna hai,to ye ab sona(sleeping) sona nahi hota hai,balke Namaz ke intezar kane me shumar hota ha,to hadees me hi aya hai,ke jo namaz ke intezaar me hota hai,Allah usko Namaz padhne ka sawab ata karta hai,
iska matlab hargiz ye nahi ke Sone se pahle namazo ki niyyat karliye awr saath me ye bhi sonch liye ke namzo ka sawab milgaya balke uth kar namaz bhi padhna hai,

PLZ,Share it to All,For islamic Service.

You might also like